Hum azaad hein, khumukktaar hain (Stream of strange Thoughts) - year 2008
Hum azaad hein, khumukktaar hain, hum ney zindagioyoon key 60 saal is mulk ko diya hein aur humarey buzurgoon ney apni jaanein ! ye kitna khoobsoorat ehsaas hei, ye keisa jazba le aata hai keh murda dil mein bhe jaaan parh jaati hei !... ye keisey maooon ki aankhooon mein le aata hai aansoo .. jin ke bachey sarhadoon pe apna seena taaney kharey hein … key aye dushman ko goli to pehla seena un ka ho… ye dharti… is key log … is ke khait … in mein hal chalaaty bail … khirki sey chan key ander aati hoi thandi subha mein sooraj ke dhoop ! is ka aakaash ! is pe chamakta chaand … us chand ke roshni mein kamoshi ka wo samgeet jeisey keh ek thanda ehsaaas … aisey jism key aar paar ker deita hai ! jeisey maan key aanchal taley us ke aaghoosh ! … Phir wo geeli mitti aur is ke khushboo,! wo thandi thandi chuuti hoi hawaaa ! gharoon mein lot janey waley parindoon ke halki halki awaaz … likhtey likhtey merey rongtey kharay ho gaye … ! jism mein bajli se dori hai ! jeisey ye sab mujh ko chu raha ...