1000 mard paida hotey hein to ek insaan paida hota hai (Urdu sarcastic piece, with all apologies to men)
mein ney kaha …
'mard' ek moroosi (congenital - birth) kefiyat ka naam hei jo aurat key jisam mein apna haq jamaney ke fitrat ko manwaaney key natejey mein janam leita hai …
(meaning: one egg is targeted by millions of sperms and when the ONE wins ... Its the Sperm that decides the sex of the fetous - theory of XX and XY chromosomes)
aur phir jab wo is duniya mein aa jata hai to ek anmol wajood sametey, yahan sey wahan mandlata phirta hai … jaisey wo insaan nahen ek aisaa ehsaas hei jo is duniya ki tamaam taaqat ko apni lappet mein le sakta hai …
Mitti sey banaey is 'mard' key wajood mein Khuda ney ajeeb sey thoos jazbaat rakhaey hein .. jis pe shayed us ka apna bhe koi bas nahen …
phir upper se us ke fitrat …
muhabat karey to itini karey key -- dum ghut jaye … (suffocate)
aur nafrat karey to itni … keh her jazba mar jaye …
Aurat ke wajood sey janam leiney wala 'mard'…
ye apney aap sey to ye kehta hai keh wo aurat key bina jee nahen sakta …
magar fitrat key hathoon majbur … apney hee is ehsaas ho khud hee apney ander dafan (bury) kiye baitha hai …
'mard' mazboot hota hai jab wo aurat ko kamzoor ker deita hai …
magar jab aurat mazboot ho jaye to mard gher mehfooz mehsoos karney lagt hai …
Aurat ke wajood sey hei jis kee zeenat ... ye ushee wajood key ehsaas ko kuchal key
apney aap ko sirtaaj bana baita hai …
us ney poocha mein keisa mard hoon ?
mein ne kaha ! … 'mard' 'mard' hota hai .. na aisa naa weisea …
magar jab mard dost hota hai to wo dost hota hai … mard nahen hota … aur jab wo dost sey barh ker kuch aur hota hai to wo AJEEB hota hei ! …
tau quoon key tum merey dost ho to tum merey liye ek munasib fard (individual) ke hesiyat rakhtey ho …
wo bola wo keisey ?
mein ne kaha …
jo dost hota hai wo aap ko achey ya burey key liye nahen chahata …
wo aap ko baat baat pe nahen parakhta (evaluate) …
wo aap key wajood mein apni rooh ko nahen tatolta (search) …
Balkey us key khud key wajood ke kashish us ko apney hisaar (orbit) mein rakhti hai aur us key dost ka wajood ke kashish (attraction) us ko us apney hisaar mein …
wo dono qareeb to hotey hein magar ek doosrey key wajood se alag thalag! …
… tau ... ye rishta behis to nahen hota ! magar bas ek be-zarar se kashish pe chalta chala jata hai …
magar jab mard dost sey barh ker kuch aur hota hai to wo rishta possessiveness mein badal jata hai.. aur in halaat mein wo bohat insecure mehsoos kerta hai …
'mard' ki taqat aurat ki bebasi mein hei … aur kahee wo apney bas mein na aa jaye … wo us ke soch pe pehra deiney lagta hai … us ko ushee mein uljhaye rakhta hai … piyar ka bhooka to hai .. magar jab piyar mil jaye to us ke puri qeemat wasool kerta hai … (he makes the most out of it)
Us ney kaha ! …
her kisam key mard hotey hein … Wo aurat ko ajeeb nazar sey dekhtey hein …
kiya mein bhe aisa hoon ?
Mein ne kaha jo Nazar mujh pe uthi us ki to mujh ko khabar hai ..
magar jo nazar mujh pe nahen uthti us key barey mein mein kiya kahoon ???
Mein ne us ko ek misaal de !
'Kutta' ek janwar ka naam hei …
Fitratan wo wafa ka paikar hei (faithful), magar bhonkna (bark) aur kaatna (bite) bhe ushee fitrat ka hissa hei …
… 'Kutta' paaltu hota hai , awara hota hai ya pagal hota hai ! …
us ne kaha .. kiya matlab ! …
mein ne kaha …
Dost ! Tum wo wala kutta ho jo paaltu hota hai – jo apnoon ko to kuch nahen kehta … magar jahan ye kutta 'awara' ya 'pagal' ho jaye to is ke fitrat bahir aa jati hai …
1000 mard paida hotey hein to ek insaan paida hota hai ...
shayed is liye mardoon ke sharah (population) insaanoon sey kam hei ...
Comments
Post a Comment