Aurat ! - year 2008 (Stream of Strange Thoughts)


Khuda ney paida kiya Hawwa ko Aadam ke pasli sey … key sath dey wo aadam ka aur ban jayee us ke tanhaaye ke sathi … aurat ka wajood mard key zan sey tha shayed aurat aaj bhe mard ke ghulami mein apni izat samjhti hei ! … aurat hei kya ? kiss mitti sey bani hai ? ye, keisey itney jazbaat le key her rishtey ko itni mohabat sey nibhaney mein jut jaaati hei …. Ye itney gham le key bhe phir mohabat bantney ko tayaar kharoi hoti hai ?

Aurat ! Maa hei, baiti hai, biwi hai, behan hai … aurat mehbooba bhee hai … ! jab aurat ke baat mard sey karo to tilmila uthta hai hei … kehta hai … Aurat ? be wafa … hmm magar maa ka khayaal aatey he eek muskaan aati hai hoontoon pea ur kehta hai ! Maa ek naram saa piyara ehsaas ! behan ka sochta hai to kehta hai ! mere behna – terey liye kuch bhe qurbaan ! magar mehbooba jab tak biwi na ban jayee us ka zikar bar baar kerta hai …

Mard ek kefiyat ka naam hei aur Aurat ek jazba … ek naram sa ehsaas ! aurat ke fitrat piyar karney ke hei … kabhe gor keejiye jab aurat piyar karti hai to ajeeb see ek maamta jhalakti hai us mein … ! mard ko aisey piyar karti hai aur aisey us ke her zaroorat ka khayaal rakhti hai jeisey kissi bachey ka ka khayaal rakh rahe ho ! … ab chahy wo us ka mian ho, bhai ho, baap ho yaa phir us ka piyaar ! ….

Comments

Popular posts from this blog

Black Magic (Urdu Article for Print) - 2004

when i lost my mother !