hum bhe faani ye bhe faaani
What are we heading towards ! ?
"hum bhe faani ye bhe faaani"
Jab aaye they is duniya mein to tann tha nanga - man tha saaaf - koi umeed na the - koi jazba na tha - na the koi pareshaani - aur ye duniya thee be mayni -
us pe sittam keh ye bhe khabar na the - key hum bhe faani ye bhe faaani ! ...
ab jab aa gaye hein - to banta hei kuch HAQ aadaa kerna - jis maa ney janam diya -
jis dharti ne sahara diya - jis hasti ney rizq diya ! kerna hai her ek ka haq adda !
aur phir jo piyar mila - jo apney wajood ka ehsaas mila -
kissi ney maan diya - aur kissi ney maan liya !
Badla hum ney us ko ye diya -
key sab kuch tor diya ! sab kuch phoor diya ! ?
kiya yehee rehgaya tha Haq Baaqi ?
jabkey ab to ye maaloom tha -
keh ye duniya bhe faani aur hum bhe faani !
_____________________________________
Jis Khuda ney ye Zindage de hei mujhey - is zindage ke qasam -
jab tak jaan hei - tab tak mohabat key diye jalaney hein -
jo aag lagi hei wo bujhaani hei -
jo dil toot gaye un ko marham lagana hai -
gairoon ko apna banana hei - utha key galey lagana hai ....
jis ney Zindage de hei mujhey - is zindage ke qasam -
is zindagi ka farz nibhaana hai
quoon key !
hum bhe faani ye bhe faaani ! ...

kiya yehee reh

Comments
Post a Comment